Ik Kaam Krty Hain...
Aa jana ik kaam krty hain
Ik dusray ka qatal sar-e-aam krty hain
Bna kr is mohabbat ko tamasha
Khud ko ruswa sar-e-bazaar krty hain
Aa meri aghosh mein k teri tishngi bant lu
Phir kuraid k zkhmo ki chubhan ko sairab krty hain
Teri masumyt se khelo a tujhy ujaar du
Mere koochay mein a k khud ko wairan krty hain
Jab sham dhalay to ik maqtal sja k
Marsiya is ishaq ka puri raat parhty hain
Aa jana ik kaam krty hain
Ik dusray ka qatal sar-e-aam krty hain....



Comments
Post a Comment
guide me with your wise thoughts:)